Friday, July 20, 2007
Fanaa - The Movie, Shayaries by Amir Khan
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Bhi Kiya Nahin Karte….
Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanson Ko Rok Paoge Kaise
Rone De Tu Aaj Humko Tu Aankhe Sujaane De
Baho Me Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jaane De
Hai Jo Seene Me Quaid Dariya Wo Chut Jayega
Hai Itna Dard Ki Tera Daman Bheeg Jayega.
Phool hun Gulaab ka….
Chameli ka mat samjhna….
Aashiq hun aapka….
Apni Saheli ka mat samjhna…..
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.
Aag suraj main hoti hai ,
Jalna dharti ko padta hai
Mohabbat aankhen karti hain ,
Tadapna dil ko padta hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment