Apni Marzi se kahan apne Safar ke Hum hain
Rukh Hawaaon ka jidhar hai, udhar ke Hum hain
Pehle her Cheez thi apni magar ab lagta hai
Apne hi ghar mai kisi Dusre Ghar ke Hum hain
Waqt ke saath hai Mitti ka Safar Sadiyon tak
Kisko Maloom kahan ke hain, kidhar ke Hum hain?
Chalate rehte hain k chalna hai Musaafir ka Naseeb
Sochte rehte hain k kis Rah-Guzar ke Hum hain
Gintiyon mai hi gine jate hain her Daur mai Hum
Her Qalam-kaar ki Benaam khabar ke Hum hain
Hathon se girr gaee lakiren kahin, Bhool aaye hum apni takdeer kahin,
Agar tumhe mile to utha lena, Mere hisse ki har khushi hathon mein saja lena
Kabhi to waqt se pehle aaya karo,
Apni awaz sunaker haale dil bayaan karo,
Hum to rehte hain aap hi ke khayalon mein,
Kabhi aap bhi humara khayal kiya karo
Friday, August 17, 2007
Subscribe to:
Posts (Atom)